thakan

kat gae apni jawani ke mah-o-sal yunhi
roz-o-shab kucha-o-bazar mein mandlate hue

kabhi hans kar kabhi ro kar kabhi khamoshi se
dil-e-betab ko har gam pe bahlate hue

husn se hum ko aqidat thi so har haalat mein
git gate hi rahe mahfil-e-khuban ke liye

shah-rahon pe bayabanon mein sahraon mein
phul hum chunte rahe un ke shabistan ke liye

raat bhar ashk bahate the magar subh ko hum
aaine late rahe zulf-e-pareshan ke liye

phir bhi logon ne wafadar na samjha hum ko
bazm-e-khuban mein koi hum se mukhatib na hua

dur hi dur rahe sare hasin nazzare
ajnabi hi ki tarah hum ko har ek ne dekha

kabhi mai-khane mein baithe to ye socha hum ne
husn ke qafila-e-khwab ki manzil hai sharab

nasha ab aata hai ab uthta hai chehre se naqab
sainkadon bar yunhi rasta dekha hum ne

nasha aaya na koi raaz kisi ne khola
hum to uth aae wahan se bhi bahar-haal yunhi

kat gae apni jawani ke mah-o-sal yunhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close