ek mujawwaf adse se main duniya ko dekh raha tha jangal maidan ret ke tile saql-e-zamin se apna rishta tod rahe the dur kinare dariya ke sath purana chhod rahe the bahti hawaon ke daman ko girte parbat tham rahe the aur un sab ke pichhe meri aankhen phail gai thin meri nak bahut lambi thi wo boli pahchano aahista se pichhe aa kar kis ne aankhen munden adsa phenk ke main ne us ke dast-e-hinai tham liye aur us ki aaghosh mein chhup kar jaane kab tak roya