main kaenat mein sayyaron mein bhatakta tha dhuen mein dhul mein uljhi hui kiran ki tarah main is zamin pe bhatakta raha hun sadiyon tak gira hai waqt se kat kar jo lamha us ki tarah watan mila to gali ke liye bhatakta raha gali mein ghar ka nishan dhundta raha barson tumhaari ruh mein ab jism mein bhatakta hun labon se chum lo aankhon se tham lo mujh ko tumhaari kokh se janmun to phir panah mile!