ye tamanna hai meri aap ke pyar ko lafzon mein muqayyad kar lun lab-e-izhaar muqaddar mein kahan lafz-o-ma’ni mein kahan gunjaish koi bhi laun bayan ki san’at mera mafhum bikhar jata hai ho koi jhil agar pyasi nazron se use pi jaun ye to ek aisa samandar hai tasawwur jis ke kisi mauhum kinare ka bhi na-mumkin hai meri takhil ke paimane bhi bekar gae hae tiflana tamanna meri chand ke waste bachcha koi humke jaise