‘itr-o-kafur ki khushbuon mein basa ek maghmum jhonka hawa ka badha aur meri sans se aa ke takra gaya meri nazren uthin chand kandhon pe rakkha tha bar-e-garan ek rahi 'adam ki taraf tha rawan karbnaki ki barq-e-tapan al-aman meri ek ek rag mein utarti gai chashm tar ho gai zindagi ka ye anjam hai kya kahun zindagi ke liye log marte hain kyon maut haiat-faza raqs karti rahi zindagi tabnaki ke saman liye muskuraati rahi fard ki maut se zindagi to kabhi khatm hoti nahin khatm hoti nahin