tifli ke KHwab

tifli mein aarzu thi kisi dil mein hum bhi hon
ek roz soz-o-saz ki mahfil mein hum bhi hon

dil ho asir gesu-e-ambar-sarisht mein
uljhe inhin hasin salasil mein hum bhi hon

chheda hai saz hazrat-e-'sadi' ne jis jagah
us bostan ke shokh anadil mein hum bhi hon

gaen tarane dosh-e-surayya pe rakh ke sar
taron se chhed ho mah-e-kaamil mein hum bhi hon

aazad ho ke kashmakash-e-ilm se kabhi
aashuftagan-e-ishq ki manzil mein hum bhi hon

diwana-war hum bhi phiren koh-o-dasht mein
dil-dadgan-e-shola-e-mahmil mein hum bhi hon

dil ko ho shahzadi-e-maqsad ki dhun lagi
hairan suragh-e-jada-e-manzil mein hum bhi hon

sahra ho, khar-zar ho, wadi ho, aag ho
ek din inhin muhib manazil mein hum bhi hun

dariya-e-hashr-khez ki maujon ko chir kar
kashti samet daman-e-sahil mein hum bhi hon

ek lashkar-e-azim ho masruf kar-zar
lashkar ke pesh pesh muqabil mein hum bhi hon

chamke hamare hath mein bhi tegh-e-abdar
hangam-e-jang nargha-e-baatil mein hum bhi hon

qadmon pe jin ke taj hain iqlim-e-dahr ke
un chand kushtagan-e-gham-e-dil mein hum bhi hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close