roz aadhi raat ko ek tilismi ghaar ke khufiya darwaze ke sine mein janam leti hain ghaibi dhadkanen ghaar ki gahrai mein chalte hue sangit ke qadmon ki chap raat ki andhi hawa ka hath pakde dur tak jati hai sath ek zahri sanp khinch aata hai sar ki chah mein lakh khatre hain zara si rah mein band darwaze ke pas narm bhini ghas mein baith jata hai wo kundli mar ke aur apna phan uthae jhumta rahta hai sar ki tan par khelta rahta hai apni jaan par tutta hai jis ghadi sar ka bahao sanp ko aata hai tao band darwaze pe ghussa mein patakta hai wo sar aur das leta hai us ko apna zahri phan utha kar subh hone tak to mar jata hai darwaza magar roz aadhi raat ko