tasawwur shokhiyan muztar-nigah-e-dida-e-sarshaar mein ishraten khwabida rang-e-ghaza-e-rukhsar mein surkh honton par tabassum ki ziyaen jis tarah yasman ke phul dube hon mai-e-gulnar mein samna chhanti hui nazron se jazbaat ki duniyaen be-khwabiyan afsane mahtab tamannaen kuchh uljhi hui baaten kuchh bahke hue naghme kuchh ashk jo aankhon se be-wajh chhalak jaen rukhsat fasurda rukh labon par ek niyaz aamez khamoshi tabassum muzmahil tha marmarin hathon mein larzish thi wo kaisi be-kasi thi teri pur-tamkin nigahon mein wo kya dukh tha teri sahmi hui khamosh aahon mein