rawish-rawish hai wahi intizar ka mausam nahin hai koi bhi mausam bahaar ka mausam giran hai dil pe gham-e-rozgar ka mausam hai aazmaish-e-husn-e-nigar ka mausam khusha nazara-e-rukhsar-e-yar ki saat khusha qarar-e-dil-e-be-qarar ka mausam hadis-e-baada-o-saqi nahin to kis masraf khiram-e-abr-e-sar-e-kohsar ka mausam nasib-e-sohbat-e-yaran nahin to kya kije ye raqs-e-saya-e-sarw-o-chinar ka mausam ye dil ke dagh to dukhte the yun bhi par kam kam kuchh ab ke aur hai hijran-e-yar ka mausam yahi junun ka yahi tauq-o-dar ka mausam yahi hai jabr yahi ikhtiyar ka mausam qafas hai bas mein tumhaare tumhaare bas mein nahin chaman mein aatish-e-gul ke nikhaar ka mausam saba ki mast-khirami tah-e-kamand nahin asir-e-dam nahin hai bahaar ka mausam bala se hum ne na dekha to aur dekhenge farogh-e-gulshan o saut-e-hazar ka mausam