tira-nasib

gham kisi kohna-o-bosida waraq par maujud
sal-ha-sal se malfuz hikayat ki tarah

wahi qissa wahi baat
ek darmanda umid

dil mein uthti hui dhadkan ki tarah
maslak-e-nan-e-jawin

ranj-e-tannur-e-shikam
khwahish-o-khwab mein malfuf rasai ka ghubar

ya phir iflas ka ifrit-e-junun be-payan
bhuk aur shiddat-e-mahrumi-e-derina se

ek dil-soz tajassus ko liye tira-nasib
ek darmanda umid

zindagi haar gai
hawas-e-dam-o-diram zar-o-gauhar ke asir

khwahish-o-khwab samajh hi na sake
ek mauhum khata sarf-e-nazar ho na saki

maut taqdir hui
gham safar karta hua dar pe hua uftada

wahi rudad-e-qadim
jahan qabil ka rang

phail kar haibat-o-bad-shakl-o-siyah kahlaya
kohna bosida waraq

ahd-e-maujud talak aan chala
wahi qissa wahi baat

maslak-e-nan-e-jawin
ranj-e-tannur-e-shikam

ek darmanda umid
zindagi haar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close