gawah rahna ye past-qamat karih chehron ghamand lahjon sisakti sargoshiyon ke hamil mere qabile ke surma sab najis akhadon mein apne laghar nahif jismon ko chatte hain mere qabile ke falsafa-gar ghaliz fasid rutubaton se bhari tapakti sarab sochon se kaam le kar ajib mantiq tarashte hain ye falsafa-gar sada-o-ahang-o-harf-o-mani ko zakhm de kar lahu ka kachcha khurand danton se nochte hain gawah rahna ki shahr-e-be-faiz mein numu ka koi hawala bhi mo'atabar nain lahu mein lithdi burida lashon ka gham uthate udas chehron ghubar jismon se zindagi ka zara guzar nain ki aise be-mehr aab-o-gil mein bilakte lahjon uchat nindon adhure khwabon ke dukh uthae fasil-e-shorish pe sans roke qadam jamae ufuq ke mutawazi chalne walon mein ek tha wo aur ek hi tha jo past-o-baala ke sab manazir nazar mein rakkhe ghutan bhare habs mausamon ki siyah sazish se shahr-e-be-faiz ko bachane nikal pada tha qabile walo gawah rahna abad se imkan-e-be-makani shurua o aakhir se apni pahchan ki justuju ka wo ek waris fasil-e-shorish ke khasta zine kharab gumbad tabah minaron tute burjon ke is khandar mein ufuq ke mutawazi chaar atraf chalne wale azab tiron ko apne sine pe sahte sahte nidhaal hijrat ki aakhiri had pe ja chuka hai wo apne ajdad ki riwayat ka nam-lewa bahut bulandi pe ja chuka hai qabile walo gawah rahna