bahr-e-gham mein hai sakht tughyani sar se upar guzar gaya pani kab tak ai nuzhat-e-barishta-jigar shor ya rab se arsh-e-jumbani rone-dhone se jaan khone se kahin bante hain kaam diwani dard-e-dil dard-afrin ko suna kar guzar ji mein hai jo kuchh thani dasht-e-wahdat hai dasht-e-wahdat hai dekh aahista kar faras-rani be-khabar pahle naqsh kar dil par azmat-e-bargah-e-yazdani maya-e-rshk yan bazaat-e-mor hech wan shaukat-e-sulaimani pahle de sadqa ma-siwa allah pahle kar jaan-o-dil ki qurbani chahiye bahar-e-nazar-e-jins-e-garan chahiye khun ko bashud afshani sadaf-e-fikr se nikal guhar tar-ba-tar kar araq se peshani nuzhat-e-be-nawa hai hadiya ba-dast ho qubul-e-janab-e-sultani hadiya kya ek sada daftar par likh ke lai hun lafz-e-la-sani din hai ulfat watan faghanistan urf majnun hai pesha hassani