sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun apne honton ki jalan apni nigahon ki thakan apne sine ki ghutan apni umidon ka kafan jada-e-zist pe bikhre hue kanton ki chubhan umr bhar ka mera sarmaya yahi hai ai dost sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun aarzu thi ki rukh-e-gham ki chamak nazr karun tere makhmur tasawwur ki mahak nazr karun apne bazu-e-takhayyul ki lachak nazr karun saghar-e-fikr magar aaj tahi hai ai dost sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun zindagi chand hababon ke siwa kuchh bhi nahin ilm do chaar kitabon ke siwa kuchh bhi nahin meri manzil mere khwabon ke siwa kuchh bhi nahin apni manzil to bahut dur abhi hai ai dost sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun