tum ne kya dekha hai tota rang hara hai pyara pyara mudi hui hai chonch sire par rangat us ki lal hai khush-tar dum lambi aur hare hare par jata hai har ja ye ud kar patli si tahni ke upar baithta hai ye tota chadh kar jahan bhi hai ye aata jata umda umda mewe khata is mein hain gun pyare sare sab hain is ke chahne wale pyari baaten hain ye sunata dil ka sab dukh hai ye mitata tum bhi samajh lo ye ai ladko jo ustad batae sikho kaam karo tum aise pyare ghar bhar ke ho jao dulare sari duniya tum ko chahe git tumhaare ghar ghar gay warna tumhaari durgat hogi sab ko tum se nafrat hogi 'jauhar' ki is baat ko mano dost use tum apna jaano