kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko jaise qasid koi ek pyar mein dube khat ko band darwaze ke pallon mein phansa deta hai aur khat dekh ke ek ishq mein paband nazar dil-e-mashuq ki har baat samajh jati hai tu khinchi aati hai yun haule se meri jaanib khana-e-dil mein usi pyar bhare khat ki tarah hasrat-e-chashm meri tujh mein simat jati hai zehn mein azm nigahon mein kai khwab liye shakh-e-dil mein meri tu risti chali aati hai rang aur nur faza ka bhi sanwar jata hai mere jazbaat ko tu ishq sikha jati hai kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko teri aankhon ka tasawwur tere galon ki mahak jazba-e-ruh mein tufan utha jate hain zehn-o-dil par likhe tarikh ke panne panne teri chahat mein yunhi mitte chale jate hain aatish-e-ishq se khulta hua kundan sa badan khud-ba-khud naqsh hua jata hai jaan-o-dil par khud-ba-khud panw nikal padte hain teri jaanib baghban dil ko koi jaise ki mil jata hai aur har samt faqat tu hi nazar aati hai kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko kyun ye mahsus mujhe hota hai lamha lamha meri duniya teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin aaj tu hi to hai dastur tasawwur ka mere jaise duniya mein mera tere siwa koi nahin meri shakhon pe tere nam ke gul khilte hain mere patton mein tere rang hare bahte hain aaj pairon mein thirakte hain tere naz-o-ada mere naghmon ko tu pur-kaif bana deti hai kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko