rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga ab tasawwur mein kabhi tujh ko na main gholunga ab na phir panw kabhi teri taraf jaenge ab na hathon ke irade tujhe chhu paenge rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga ab na honton pe bila-wajh hansi chhaegi ab na chehre pe koi shakl utar paegi ab na zulfon ko tere hathon ki chahat hogi ab na khwabon ko tere aane ki hasrat hogi rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga ab na paimane mein taswir teri utregi ab na dil se koi nazuk si khushi guzregi ab na darwaze ki dastak pe nazar jaegi ab na naghmon se mere teri mahak jaegi rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga