wo ek lamha jis ki talash mein main ne apne arz-o-sama ki pur-asrar kashish se nikal kar ek khayal-afroz khala mein jast laga di aur apne mehwar se bichhad kar is be chehra kahkashan ke dusre sayyaron ke asar mein gardish karne aur bhatakte rahne mein ek umr ganwa di wo lamha ek jugnu ban kar jalta bujhta ab bhi meri ummidon ki khush-fahm nigahon ki zad par hai raushni ki raftar se main masruf-e-safar hun phir bhi meri raushan aankhon se is simab sifat jugnu ka fasla ek hi had par hai aur ab shayad waqt to sakit hone ki sarhad par hai mere wajud pe ek be-nam thakan tari hai lekin phir bhi mera taaqub jari hai