is se pahle ki teri chashm-e-karam mazarat ki nigah ban jae is se pahle ki tere baam ka husn rifat-e-mehr-o-mah ban jae pyar dhal jae mere ashkon mein aarzu ek aah ban jae mujh pe aa jae ishq ka ilzam aur tu be-gunah ban jae main tera shahr chhod jaunga is se pahle ki sadgi teri lab-e-khamosh ko gila kah de main tujhe chaaragar khayal karun tu mere gham ko la-dawa kah de teri majburiyan na dekh sake aur dil tujh ko bewafa kah de jaane main be-khudi mein kya puchhun jaane tu be-rukhi se kya kah de main tera shahr chhod jaunga chaara-e-dard ho bhi sakta tha mujh ko itni khushi bahut kuchh hai pyar go jawedan nahin phir bhi pyar ki yaad bhi bahut kuchh hai aane wale dinon ki zulmat mein aaj ki raushni bahut kuchh hai us tahi-damani ke aalam mein jo mila hai wahi bahut kuchh hai main tera shahr chhod jaunga chhod kar sahil-e-murad chala ab safina mera kahin thahre zahar pina mera muqaddar hai aur tere hont angbin thahre kis tera tere aastan pe rukun jab na panw tale zamin thahre us se behtar hai dil yahi samjhe tu ne roka tha hum nahin thahre main tera shahr chhod jaunga mujh ko itna zarur kahna hai waqt-e-rukhsat salam se pahle koi nama nahin likha main ne tere harf-e-payam se pahle tod lun rishta-e-nazar mein bhi tum utar jao baam se pahle le meri jaan mera wada hai kal kisi waqt sham se pahle main tera shahr chhod jaunga