'atiq' aur 'aslam' 'shoeb' aur 'salim' 'rais' aur 'asif' 'nafis' aur 'wasim' ye maktab se wapas hua qafila to raste mein sab ne yahi tai kiya chalo khelte hum chalen rail rail 'atiq' honge guard aur engine 'tufail' ye sunte hi baghlon mein baste liye aur ek saf mein sidhe khade ho gae khade aage pichhe ye jab ho chuke to daman qamison ke pakde gae qamison ke daman pakad jab chuke second aur enter ke dabbe bane gharaz ban chuki jab ye chhoti si rail chhuta nanhe bachchon ka tufan mel chhuka-chhuk chhuka-chhuk chhuka-chhuk chala badi zor se siti deta hua munder aur khai pe chadhta hua bulandi se niche utarta hua kabhi zor mein aa ke tez ho gaya kabhi ruk ke engine ne pani liya gharaz daudta gunjta ghumta gali se gali ko badalta hua chala ja raha tha na thi kuchh khabar ki itne mein khatra hai aaya nazar kahin samne se gadha chikhta chala aa raha tha uchhalta hua kabhi agle panw se hota khada do-latti kabhi zor se phenkta jo aate hue us ne dekha ye mel to rukhsat hui us ki sari kulail udhar wo wahan se phira chikhta idhar mel bhi jaane kis samt gaya