khilaune

nanha thormas nannhi gas aur nanha nashte dan
chhote chhote babwe aur ye un ke bhai-jaan

chini ke darogha ji aur dafti ke darban
lai hain apne sath hamare waste ye saman

aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan

tin ka ullu mom ka bauna lakdi ki banduq
kapde ke ek jakkad-khan aur shishe ka beruq

pital ke kuchh saras bagule jadu ka sanduq
khel khilaunon se hain saje sab kamre aur dalan

aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan

ganw ka mukhiya shahr ka bhishti jangal ka langur
london ka angrez bahadur bhaarat ka mazdur

mitti ke ye seb sharife kaghaz ke angur
pa kar ye rangin khilaune kyun na ho khush 'irfan'

aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close