wo tulsidas jis ne ilm ka dariya bahaya tha wo tulsidas jis ne ghair ko apna banaya tha wo tulsidas jo duniya mein suraj ban ke chhaya tha wo tulsidas jo gham-khwariyon mein muskuraya tha khulus-e-dil se main us ko aqidat pesh karta hun mere pesh-e-nazar ab tak mizaj-e-hukmrani hai bahut uljhi hui us daur-e-mazi ki kahani hai magar tulsi ki azmat dost dushman sab ne mani hai wo ramaen ka likhna shahkar-e-zindagani hai main us insan-e-kaamil ko mohabbat pesh karta hun ye jo kuchh kah raha hun main haqiqat hi haqiqat hai lab-o-lahja ki shirini mohabbat ki alamat hai wo aalim ho ki jahil aaj har dil par hukumat hai nazar-andaz karna us ki rahon ko qayamat hai main apni bazm mein is ki zarurat pesh karta hun wo tulsi jis ki goyai sukhan ki sar-bulandi hai sukhan ki sar-bulandi fikr-o-fan ki sar-bulandi hai gul-e-rangin wo hai jis se chaman ki sar-bulandi hai usi ki sar-bulandi se watan ki sar-bulandi hai main ehsas-e-waqar-e-mulk-o-millat pesh karta hun wo tulsi jis ki ramaen ka ek ek scene gulshan hai wo tulsi jis ka duniya-e-adab mein nam raushan hai wo ek aalim hai ek sahib-nazar hai mahir-e-fan hai wo apne daur ka homer hai firdausi hai milton hai main ai 'takmil' use apni riyazat pesh karta hun