maqsad ko na paband-e-taqdir karo yaro tamir-e-gulistan ki tadbir karo yaro kirdar mein yun paida tasir karo yaro har khak ke zarre ko taskhir karo yaro tum rah mein ho ab tak manzil pe nahin pahonche rahon ko na manzil se tabir karo yaro jab rahbar-o-rahzan mein ho sakti hai sazish bhi phir rah mein kyon itni takhir karo yaro shayad abhi kuchh goshe muhtaj-e-taaruf hain quran-e-mohabbat ki tafsir karo yaro mazi ki har ek talkhi tum dil se bhula dalo tarikh nai apni tahrir karo yaro insan ki bulandi hai aapas ki mohabbat mein dil dil se milen aisi tadbir karo yaro ye jannat-e-duniya to dozakh hui jati hai ab aur koi jannat tamir karo yaro jo kuchh rah-e-ulfat mein 'takmil' pe guzri hai afsana-dar-afsana tahrir karo yaro