jo subh ne bansari bajae hawaen karwat badal rahi hain wasia dariya ki halki maujen tadap rahi hain uchhal rahi hain dhula hua narm narm sabza zamin ke sine se uth raha hai hawa ke jhonkon se mast ho ho ke nannhi shakhen machal rahi hain udhar jo dariya hain gungunate idhar parinde hain chahchahate sadaen belon ki ghantiyon ki surile naghmon mein dhal rahi hain padi hai aalam mein ek halchal chaman chaman ho rahi hain dhumen ufuq ke aiwan-e-atishin se sunahri kirnen nikal rahi hain ye kis ki aamad ka hai ishaara ki nur har-su baras raha hai ye kis ke jalwe ke dekhne ko jahan sara taras raha hai 2 ai mehr-e-taban nikal ke bahar udas ghunchon ko to hansa de zamin barish se hai fasurda pakad ke shana zara hila de lagi hai teri hi aas sab ko amir hun ya faqir bekas jo qasr-e-shahi ko jagmaga de to jhopde ko jhalak dikha de chamak chamak ai nigar-e-geti ki tu hai paigham zindagi ka ras apni kirnon ka khinch kar ab pila de ek jam zindagi ka