andhera tha andhera lal-qila jis mein ek kala hayula tha hazaron qumqumon ki raushni thi daera-dar-daera phir bhi andhera tha nigal dala tha jis ne lal qile ko ghana gadha andhera tha hazaron qumqumon ki raushni mein pas ki chizen hi pas-manzar andhera jin ka pas-e-manzar sadak par har sadak par raushni ki daud jari thi andhere mein ghubar-o-gard ke udte hue zarron ko raushan kar rahe the baham munqate karte raushni ke daere andhera katti-phatti daudti udti bikharti raushni ko pi raha tha andhere ka magarmachh andhere ke samundar mein ujale ki chamakti machhliyon ko apne danton mein dabae tairta tha andhere ka magarmachh lal-qile par badi zahrili sansen chhodta tha nazar aata nahin tha lal-qila ki is ke burj kangure dar-o-diwar ek kala hayula ban gae the hayula ban gaya tha lal-qila magar us ke wahan hone mein koi shak nahin tha andhera tha andhere ke samundar ki gupha mein lal-qila tha