kise yaqin tha ki paltegi raat ki kaya kati to raat magar ek ek pal gin gin ufuq pe aai bhi thi surkhi-e-sahar lekin sahar ke sath hi abr-e-siyah bhi aaya sahar ke sath hi hadd-e-nigah tak chhaya ye kya ghazab hai ki ab tira-tar hai raat se din zamana shokh shuao udas hai tum bin bas ek jhalak ki uthe sar se ye ghana saya ye dar bhi hai ki shuaen na jagmaga utthen koi shuaa jo uthi bhi le ke angdai aur uth ke aalam-e-tarik mein wo dar aai tu aa ke dekhegi hai nur-o-be-basar aankhen nahin hai jan ke liye farq nur-o-zulmat mein ki ab hain khwab-e-adam mein sahar ke saudai