din dhala jata hai dhal jaega kho jaega reg-ati darz se dar aai hai ek zard kiran dekh kar mez ko diwar ko almari ko filon, kaghazon, bikhri hui tahriron ko phir usi darz se ghabra ke nikal jaegi aur bahar wo bhali dhup, sunahri kirnen jo kabhi abr ke aaghosh mein chhup jati hain kabhi pedon ke khunuk sayon mein lahrai hain pas hi ped pe hudhud ki khata-khat khat-khat aur nidhaal ungliyan kahti hain thaka-thak thak-thak mahz abjad ki badalti hui be-his tartib lafz hi lafz pe ehsas na arman koi aur arman wo bhatke hue rahi jin ke sath sath aate hue bhut ki surat khadshe sard hathon se kabhi panw jakad lete hain aur kabhi aahani diwar utha dete hain main ne dekha hai kahin ghir ke jab aae baadal chikh uthe log ki ab khetiyan lahraengi main ne dekhe hain tamannaon ke banjar anjam kis tawaqqoa pe sanwarne lagi phir sochti sham kis ki aankhon ki chamak rasta dikhlati hai phir wahi qumquma-e-shab ki tarah khanda-e-lab kahe jata hai: chali aao, chali bhi aao lekin is khanda ke us par wahi pul ki talab yun to main sirf tumhaara hun magar kya kije baz majburiyan majburiyan! main jaanti hun jaanti hun ki gae waqt ko kis ne roka waqt aata hai guzar jata hai bas dur hi dur ek din waqt bade chain se so jaega din dhala jata hai dhal jae ga kho jaega