tum apne khwab ghar par chhod aao nahin to khar ban kar ye chubhenge tumhaari ruh ko paiham dasenge mabaada ye tumhaara munh chidaen tum in sab aainon ko tod aao tum apni aql-o-mantiq par ho nazan ye nakhun us jagah kya kaam denge jahan dil ki girah uljhi hui ho tumhaare hath apni bebasi par tumhein har gam par ilzam denge kahan hain wo kitaben wo sahaef ki jan mein zakhm apne rakh diye the us insan ne jo shoalon mein jala tha us insan ne jo suli par chadha tha us insan ne jo mar mar kar jiya tha tum apne khwab ghar par chhod aao tumhaari dhup sayon mein dhalegi tumhaari raat shabnam par chalegi zamir-e-zahr-aluda ke chyunte na rengenge tumhaari be-hisi mein tumhaara tan tumhaara tan banega tumhaara dil tumhaara sath dega tumhein kya chahiye phir zindagi mein tum apne khwab ghar par chhod aao