maula teri gali mein sardi baras rahi thi shayad isi sabab se mastana hijda bhi wisky pahan ke nikla tennis ke baal kasti angiya mein ghus-ghusa ke pistan ban gae the shahwat ke surkh dore surma lagane wali aankhon mein tan gae the ek dam se chalte chalte us ne kamar ke jhatke se rah chalne wale shohdon, haram-khoron se iltifat manga aur dawat-e-nazar di us ke zakhim kulhon ne aag aur lazzat khali dilon mein bhar di us ne hatheliyon ke gadde ragad ragad ke wo taliyan udain mehndi ke rang titli ban ke hawa mein apne par taulne lage the phir jaan-dar honton se pan-dar bose chhan chhan chhalak chhalak ke har manchali nazar mein ras gholne lage the wo aaj lahr mein tha missi ki chhab dikha ke nathane phula phula ke ungli nacha nacha ke us ne maze mein aa ke hans kar kaha ki salo main to janam janam se apne hi aansuon mein duba hua pada hun shayad zamir-e-alam ke tang maqbare mein zinda gada hua hun