tum aur main

mujhe gosht ki thaali samajh kar
chil ki tarah jhapta marte ho

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

mujh se tumhaara moh aisa hai
jaisa billi ka chhichhde se

is ko main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

mere badan ko khilauna jaan kar
marzi ho to khelo marzi ho to tod dalo

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

main tumhaare show-case mein sajai gudiya
kitni bhi us ki tarif karo

ise main pyar samjhun
itni bholi nahin hun main

rasmon ki naika mujhe waishya banae
aur nachae tumhaari khwahishon ke chakle mein

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close