muddaton baad aai ho tum aur tumhein itni fursat kahan an-kahe harf bhi sun sako aarzu ki wo tahrir bhi padh sako jo abhi tak likhi hi nahin ja saki itni mohlat kahan mere baghon mein jo khil na pae abhi un shagufon ki baaten karo dard hi bant lo mere kin mahtabon se tum mil sakin kitni aankhon ke khwabon se tum mil sakin han tumhaari nigah-e-sataish ne ghar ki sab aaraishen dekh lin tan ki aasaishen dekh lin mere dil mein jo paikan taraazu hue tum ko bhi lala-o-gul ke be-sakhta istiare lage