tum

tum aae aap hi
ya ki bulae gae

kuchh yaad nahin
ab jo thahre ho mere zehn mein

to
us kitab ke muafiq

jise book-shelf mein sajaane se bhi dara hun main aksar
kisi aur ki nazar mein chadh jae

shayad ye gawara hi nahin
har harf jis ka yaad hai zabani mujh ko

aur
har safha ki ibarat mein jis ki

padha hai khud ko kai kai bar main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close