main tumhaari ruh ki angdaiyon se aashna hun main tumhaari dhadkanon ke zer-o-bam pahchanta hun main tumhaari ankhdiyon mein narm lahren jagti si dekhta hun jaise jadu jagta ho tum amar ho to lachakti tahniyon ki mamta ho tum jawani ho tabassum ho mohabbat ki lata ho main tumhein pahchanta hun tum meri pahli khata ho lahlahati jhumti phulwariyon ki tazgi ho be-adai ki ada ho tez mandlati ababilon ke nanhe bazuon ka hausla ho phul ho aur phul ke anjam se na-ashna ho daliyon par phulti ho jhulti ho dekhti ho bhulti ho har nae fanus pe girti hui parwangi ho aur khud bhi raushni ho zindagi ho zindagi ke gird chakkar katti ho main tumhein pahchanta hun tum mohabbat chahti ho khud ko dekho aur bhari duniya ko dekho aur socho aur socho tum kahan ho