surmai ret ki pagdandi par sang-e-marmar ki chatanon ka dil-awez shabab sham ke shoala-nafas rang mein tahlil hua hath mein hath liye badhte rahe do sae aur khamosh chanaron ki sulagti aankhen mahw-e-didar rahin do jawan khwab, khule jism, barahna jame ek hi lai mein dhadakte hue do hangame jam the hath mein donon ke magar aaankhon mein ek machla hua arman tha mad-hoshi ka kya junun-khez nazara tha ham-aghoshi ka lazzat-e-wasl se sarshaar the diwane do dafatan dur junhi sham dhale dip jale koi bikhri hui zulfon ko jhatak kar bola mujh ko milna hai kisi aur se bhi jaane do