tum kahte ho kawita likh do mujhe khun bahana padta hai shabdon ki khincha-tani mein nabzon ka dhaga katta hai gham ke nokile nashtar se dil par gudwana padta hai banjar kaghaz ke sine mein khanjar ban jaana padta hai nazmon ghazlon ke jhagde se zakhmon ko chhudana padta hai wo gali jahan wo rahta tha us gali mein jaana padta hai us ki har baat bayan karke phir nam mitana padta hai wo aks jise main yaad nahin use raqs dikhana padta hai sare tewar girwi rakh kar us ko chhudwana padta hai wah wah ke mai-khanon mein dhut ghar le kar aana padta hai pagal-pan ki had tak ja ke phir wapas aana padta hai sab chaturai bik jati hai jab shunya kamana padta hai aatish-bazi aatish-bazi khud ko hi jalana padta hai zewar nahin tawiz hai ye parton mein chhupana padta hai kahte ho ek kawita likh do