shaguftagi ka latafat ka shahkar ho tum faqat bahaar nahin hasil-e-bahaar ho tum jo ek phul mein hai qaid wo gulistan ho jo ek kali mein hai pinhan wo lala-zar ho tum halawaton ki tamanna, malahaton ki murad ghurur kaliyon ka phulon ka inkisar ho tum jise tarang mein fitrat ne gungunaya hai wo bhairwin ho, wo dipak ho wo malhaar ho tum tumhaare jism mein khwabida hain hazaron rag nigah chhedti hai jis ko wo sitar ho tum jise utha na saki justuju wo moti ho jise na gundh saki aarzu wo haar ho tum jise na bujh saka ishq wo paheli ho jise samajh na saka pyar bhi wo pyar ho tum khuda kare kisi daman mein jazb ho na saken ye mere ashk-e-hasin jin se aashkar ho tum