tum kis se milne aae ho

tum kis se milne aae ho
kis chehre se kaam hai tum ko

kin aankhon se baat karoge
tum jo chehra dekh rahe ho

us mein hain kitne hi chehre
jin ko lagae main phirta hun

tum kis se milna chahoge
us shair se jis ko tum ne

dekha hai stage pe aksar
sab ko bhule khud ko bhulae

badmaston ka bhes banae
jis ne falak par hukm chalae

sang-e-malamat jis par aae
mahfil ki mahfil jhum utthi

jis ne aise sher sunae
tum kis se milne aae ho

us lambe gore chehre se
jis par aag ke phul khile hain

jo ek sidhe qadam ko sambhaale
dil mein saikdon zakhm chhupae

apni ana ki lash uthae
kam-zarfon ki is duniya mein

kitne yugon se sargardan hai
tum kis se milne aae ho

us insan se jis ke andar
ek qatil zani sariq ke

tinon chehre ek hue hain
lekin us ke hath bandhe hain

pairon mein zanjiren padi hain
aur wo qatil ab buzdil hai

aur wo zani ab shauhar hai
aur wo sariq ab munsif hai

tum kis se milne aae ho
main khud apne aap se mil kar

pahron soch mein pad jata hun
kis chehre se baat karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close