tum nahin aae the jab tab bhi to maujud the tum aankh mein nur ki aur dil mein lahu ki surat dard ki lau ki tarah pyar ki khushbu ki tarah bewafa wadon ki dildari ka andaz liye tum nahin aae the jab tab bhi to tum aae the raat ke sine mein mahtab ke khanjar ki tarah subh ke hath mein khurshid ke saghar ki tarah shakh-e-khun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah tum nahin aaoge jab tab bhi to tum aaoge yaad ki tarah dhadakte hue dil ki surat gham ke paimana-e-sar-shaar ko chhalkate hue barg-ha-e-lab-o-rukhsar ko mahkate hue dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang roz laegi saba ku-e-sabahat se payam roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq aao aane ki karen baaten ki tum aae ho ab tum aae ho to main kaun si shai nazr karo ki mere pas ba-juz mehr o wafa kuchh bhi nahin ek khun-gashta tamanna ke siwa kuchh bhi nahin