tum ruh ke saz pe git gati raho main tan ki khair mangta hun hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai us ka israf ehtiyat mangega tum kuchh ehtiyat bacha rakhna main jangalon ke safar se salamat laut aaya to tum se mustaar le lunga ye ehtiyat tum apne ghar ki angethi mein kadkadati lakdiyon ke koelon se rakh banana aur apne lahu lage daman mein kuchh rakh bacha rakhna main qafila jangalon mein ganwa aaya hun rakh gum-shuda logon ki ittilaa hai tum is ittilaa ki hifazat karna jab main jangalon ke safar se lautun to mujhe khabar karna hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai us ka israf ehtiyat mangega tum kuchh ehtiyat bacha rakhna ehtiyat ba-har-taur zaruri hai