tera aur mera sath aalam-e-barzakh se hai aalam-e-barzakh yani jahan arwah ek sath thin main aur tum yani hum wahan bhi ek sath the phir mujhe aur tumhein ek sath shayad tah-dar-tah ek sath sula diya gaya yahan hamare liye man ki kokh ko garm kiya gaya wahan main aur yahan tum ne ek hayule ki shakl li farz karo chaalis din ka ek hafta ho aur tin hafton mein hamara yani tumhaara aur mera nur ek nur ne us hayule mein phunk diya tum puchhti ho kab se mohabbat hai tum sochti ho kab se aashna hain jaanan hum duniya ki daryaft se pahle aashna hain hamari arwah ne daryaft se pahle mohabbat ki thi jism to ab mayassar hain magar hum kaenat ke wajud se pahle mil chuke hain