ek aanchal hai jo phaila hai ufuq-ta-ba-ufuq ek saya hai jo chhaya hai dil-e-wahshi par naghmagi ek tarah phutti rahti hai kahin khamushi rang liye ghumti rahti hai kahin dhundhta rahta hun lahjon mein kabhi baaton mein dhundhta rahta hun khushbu mein kabhi chandni raaton mein tujhe tujh ko paun to bahut dil ko sukun aaega tujh se mil lunga to qarnon mein badal jaunga