tum yaad mujhe aa jate ho jab sehn-e-chaman mein kaliyan khil kar phul ki surat hoti hain aur apni mahak se har dil mein ek tukhm-e-latafat boti hain tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab barkha ki rut aati hai jab kali ghataen uthti hain jis waqt ki rindon ke dil se hu-haq ki sadaen uthti hain tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab meinh ki phuwaren padti hain jab thandi hawaen aati hain jab sehn-e-chaman se ghabra kar pi pi ki sadaen aati hain tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab chaudhwin shab ka chand nikal kar dahr munawwar karta hai jab koi mohabbat ka mara kuchh thandi sansen bharta hai tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab raat ki zulmat ghatti hai jab subh ka nur ubharta hai jab koyal kuku karti hai jab panchhi pi pi karta hai tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab koi kisi ka hath pakad kar sair ko bahar jata hai jab koi nigah-e-shauq ke aage rah rah kar ghabraata hai tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab chaar nigahen kar ke koi mahw-e-tabassum hota hai jab koi mohabbat ka mara us kaif mein pad kar khota hai tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho aflak pe jab ye lakhon tare jagmag jagmag karti hain jab tare gin gin kar dil wale thandi sansen bharte hain tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab raat ka badhta hai sannata chain se duniya soti hai tab aankh meri khul jati hai aur dil ki rag rag roti hai tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho jab rota hai bahzad-e-'hazin' wo shair wo diwana sa wo dil wala wo saudai wo duniya se begana sa tum yaad mujhe aa jate ho tum yaad mujhe aa jate ho