tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki! jis mein rakkha nahin hai kisi ne qadam koi utra na maidan mein dushman na hum koi saf ban na pai, na koi alam muntashir doston ko sada de saka ajnabi dushmanon ka pata de saka tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki! jis mein rakkha nahin hum ne ab tak qadam tum ye kahte ho ab koi chaara nahin jism khasta hai, hathon mein yara nahin apne bas ka nahin bar-e-sang-e-sitam bar-e-sang-e-sitam, bar-e-kohsar-e-gham jis ko chhu kar sabhi ek taraf ho gae baat ki baat mein zi-sharaf ho gae dosto, ku-e-jaanan ki na-mehrban khak par apne raushan lahu ki bahaar ab na aaegi kya? ab khulega na kya us kaf-e-naznin par koi lala-zar? is hazin khamushi mein na lautega kya shor-e-awaz-e-haq, nara-e-gir-o-dar shauq ka imtihan jo hua so hua jism-o-jaan ka ziyan jo hua so hua sud se peshtar hai ziyan aur bhi dosto, matam-e-jism-o-jaan aur bhi aur bhi talkh-tar imtihan aur bhi
Please share if you liked this!!!