tumhaara shahr tumhaare badan ki khushbu se mahak raha tha, har ek baam tum se raushan tha hawa tumhaari tarah har rawish pe chalti thi tumhaare honton se hansti thin narm-lab kaliyan ata hui thi sahar ko tumhaari sim-tani mili thi sham o shafaq ko tumhaari gul-badani tumhaara nam tasawwur bhi tha, takhayyul bhi yaqin bhi, shauq bhi, ummid bhi, tamanna bhi saji thi zulf-e-jawan aarzu ke phulon se umid-war the har samt aashiqon ke giroh magar ye kya hai ki har kucha aaj viran hai gali gali mein hain faulad-pa siyah ifrit chaman chaman mein sadi lash ka taffun hai hawaen garm hain barud ka andhera hai khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai tumhaara shahr, tumhaare badan ki khushbu ko taras raha hai, har ek baam tira-e-saman hai na raushni hai, na nikhat, na naghma hai, na nawa har ek rawish pe hawa chal rahi hai nauha-kunan sahar ki gul-badani hai lahu ka pairahan na sham hai na sahar sirf ek siyah kafan tumhaare shahr ki uryaniyon ko dhanpta hai khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai wo ek julus sa ek mod par nazar aaya koi azim janaza guzarne wala hai hawa mein nala-o-fariyaad ki hai kaifiyat har ek aankh mein aansu, har ek hont pe aah dilon ka nauha-e-gham siskiyon mein dhalta hai wo dard hai ki koi khul ke ro nahin sakta magar janaza kahin bhi nazar nahin aata kafan-farosh bhi hain, gorkan bhi hain lekin koi bata nahin sakta ki kis ki mayyat hai koi bata nahin sakta kidhar gaya tabut koi bata nahin sakta kahan hai qabristan chalo qarib se dekhen ye bad-nasib hain kaun clerk hain jo abhi daftaron se nikle hain tamam ek si shaklen hain hindison ki tarah kisan hain jo abhi ketiyon se palte hain nikal ke aae hain mazdur kar-khanon se aur un ki pusht pe afsurda kholiyon ki qatar suron pe udte dhuen ke siyah-rang alam barhana bachchon ke rone ki dardnak sada julus-e-gham hai janaza ba-dosh chalta hai magar janaza kidhar hai nazar nahin aata khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai