aaj bhi koi kahin gosh-bar-awaz na tha aaj bhi chaaron taraf log the andhe bahre aaj bhi meri har ek soch pe baithe pahre aaj bhi tum meri har sans ke malik thahre mera gum-nam sa khoya sa ye bechain wajud ek pahchan ka sadiyon se jo diwana raha aaj bhi apne se begana raha aur jiya bhi to jiya ban ke kisi ka saya aaj bhi mujh se mera main nahin milne paya aaj bhi main ne khud apne se mulaqat na ki ek pal hi ko sahi apne hi dil se magar dil ki koi baat na ki biti sadiyon ki tarah aaj bhi aaj ka din bit gaya