tumhaare aane se pahle kunji tale mein ghumti hai tumhaare dakhil hone ki aawaz aati hai tum dhamake-dar panw rakhte hue aahista se ya kabhi tezi se kamre mein kahin kisi taraf jate hue phir thodi dair tak wahin khade rahte ho shayad mere sakit jism ko dekhte ho jo tumhaari harakat ki aawaz par kan lagae pada hota hai kabhi be-khabari mein kabhi aagah phir tum pani pite ho ya nahin pite thode waqfe tak khamoshi rahti hai ghadi ki tik tik ke darmiyan tumhaare niwale chabane ki aawaz sunai deti hai aur kabhi ye aawaz mere jism ke gard ghumne lagti hai aur mein be-khabar aur kabhi aagah tumhaari niwale chabane ki aawaz mein shamil ho jati hun