khamosh hai gung hai siyah-posh mazi ke mahal ki kohna diwar tuta nahin be-hisi ka pindar chhoda tha usi mahal ke pichhe ahbab ko sirf naghma-o-saz rakhte the shararaton ki buniyaad hota tha mohabbaton ka aaghaz lauta hun to mahfilen hain khamosh aati nahin qahqahon ki aawaz zindan ki hadon mein kho gae hain diwane bahal ke so gae hain darwazon pe de raha hun aawaz khamosh hai gung hai siyah-posh mazi ke mahal ki kohna diwar phailae hue zamin hai aaghosh tariki mein dhundhta hun rahen suraj ko taras gain nigahen