tumhaare hijr ke moti abhi palkon pe rakkhe hain ajab ek khauf se har dam khuli rakhti hun main aankhen gire to tut bikhrenge tumhaare hijr ke moti abhi palkon pe rakhe hain yahan gunjaan raston par yahan pur-pech galiyon mein judai raqs karti hai chale aao to achchha hai ki ab to thak chukin aankhen tumhaare hijr ke moti abhi palkon pe rakkhe hain yahan kuchh bhi nahin badla usi pahle tariqe se tumhaari muntazir aankhen lagi rahti hain chaukhat se koi aahat nahin hoti koi saya nahin dikhta zara si jhurjhuri le kar main aankhen khol deti hun ajab ek khauf se har dam khuli rakhti hun main aankhen