pichhle pahar ki raat ajab hadisa hua sone se pahle chand hi banhon ko khol kar jhuk kar zamin pe aa gaya qadmon ko chhu liya ungli pakad ke sath mein apne wo le gaya pahle to der tak mujhe wo dekhta raha pahlu mein rakh ke sar mere phir siskiyan bharin phir yun hua ki tut ke rone laga tha wo shayad kisi ke hijr ka mara hua tha wo jaise wo meri nind ke daman ka ek pal wo pal wahin pe sakit-o-jamid thahar gaya