tum un sari auraton se ziyaada khubsurat ho jinhon ne mere khayalat par shoalon ka ek haala sa banae rakkha aur jin ki mohabbat ka bojh bardasht karte hue mere qadam tum tak aa pahunche tumhaara chehra bhale meri nazron se gurezan raha meri aankhen raushan hain us chamkile galeshiare ki tarah jo dhup mein dur se nazar aa jae yahi wo lamha hai jo waqt ke samundar mein jazb hua to use apni wusat ka andaza hua yahi lamha jab mausamon ki duniya mein dakhil hua to khizan ko bahaar se afzal qarar diya gaya mujhe pata hai tumhaare kan roz-e-awwal se ab tak ke shairon ki la-yani taqriron se bhare hue hain tumhaara dil an-ginat aashiqon ke bosida jazbon se mutassira sar-zamin hai lekin yaqin karo is kaenat ki har shai aur har wo shai jis se mil kar ye kaenat bani hai qaem rahne ke liye tumhaare wajud ka sahaara leti hai tumhaare wajud ke ehsas ka sahaara leti hai main bhi sirf tumhein mahsus hi kar sakta hun tum se baat nahin kar sakta lekin wo log jo tum se ham-kalam hone ki aas pe is duniya mein aae hain jin ke zehn abhi tak tumhaari aankhon ke sahilon se na-ashna hain wo juluson ki shakl mein tumhaari taraf aaenge aur aakhir-kar khali hath laut jaenge meri nazmen un ke liye mishal-e-rah hain aur ye khamosh alamiya unhen har jahan mein surkh-ru kar sakta hai shart ye hai ki main kisi bahane tumhaare bare mein likhta rahun