agarche ye sach hai kai bar dil mera behad dukha hai tumhaari wajh se kai bar palkon pe aae hain aansu tumhaari wajh se kai bar sahni padi sakht lahje ki tezi o tundi tumhaari wajh se kai martaba na-munasib rawayya bhi jhela hai main ne tumhaari wajh se kai bar be-baat ghusse ki zad par bhi aana pada hai tumhaari wajh se kai martaba izzat-e-nafs ko taq par rakh ke sorry bhi kahna pada hai tumhaari wajh se to ye bhi to sach hai jo is pahle sach se kahin mo'atabar hai bada dil-nashin hai ki aksar mila hai mere gham ko marham tumhaari wajh se kai bar main rote rote hansi hun tumhaari wajh se mere aansuon ko mayassar hua ek bar-waqt kandha tumhaari wajh se kai bar afsurdagi ke samundar mein girne se pahle bachai gai hun tumhaari wajh se hunar zabt-e-girya ka dar aaya mujh mein tumhaari wajh se hue wa shuur-e-gham-e-zist ke dar tumhaari wajh se ujagar hua mujh mein ehsas-e-hasti tumhaari wajh se hua munkashif lafz-e-ikhlas mujh pe tumhaari wajh se hua fahm-o-idrak sachchi khushi ka tumhaari wajh se tumhaari wajh se hi masrur-o-shadab rahne lagi hun agarche main andar se tuti hui hun magar phir bhi ab tak jo bikhri nahin hun tumhaari wajh se ye sach hai mere dost main ji rahi hun tumhaari wajh se